Achi baatein A Collection of Motivational and Inspirational Shayari in Hindi With Images Download Hindi Shayari and can inspire yourself wallpapers and photos to share with your friends and relatives on facebook and whatsapp.
kisi ke aibon ko to be naqaab na kar
ishwar baitha hai to hisaab na kar
buri najar se na dekh mujh ko dekhne wale
main laakh bura sahi to apni najar kharab na kar
bohut soch samjh kar rotha karo
Q ke apno ko manane ki riwaaz khatam ho gaya hai
aaj ke insaan ko na kaide pasand hai aur na waade
use to bus faide hi faide pasand hai
gairon ne nasihat di aur diya apno ne dhoka
ye duniya hai saheb yahan chahiye har kisi ko bus mauka
zindagi main ek ushul hamesha yaad rakhna
pahechan sab se rakhna lekin bharosha sirf khud pe karna
rishta kharab hone ki ek wajah ye bhi
ke log jhukna pasand nahi karte
kisi ko neend aati hai magar khuwabo se nafrat karta hai
kisi ko khuwab se piyaar hai magar wo so nahi pata
rishto ki khubsurti ek dusre ko samjhne main hai
agar khud jaisa insaan talash karoge to thak jao ge
zindagi main agar gulaab ki tarah khilna hai aye dost
to kaaton se raalmol ki kalah sikhni hogi
us lamhe ko bura mat kaho jo aapko thokar phuchata ho
balki us lamhe ki qadar karo Q ki wo aapko jeene ka andaaz shikhata hai
baat karne se hi baat banti hai par
baat na karne se aksar baatien ban jaati hai
kabhi haar nahi maanti ye borayi ki aadat hai
aur jo kabhi haarti nahi wo acchayi ki taqat hai
har shaks parindo jaisa ham dard nahi hota dost
bohut be dard baithe hai is duniya main jaal bichane wale
zindagi main kabhi apne kisi hunar par ghamand mat karna
Q Ki patthar jab paani main girta hai to apne hi wajan se dubta hai
itni wafadari na kar kisi se yun madhosh hokar
ye duniya wale ek khata ke badle saari wafayen bhula dete hai
jisko sunna aye usko bolne ki zarurat hi nahi
Q ke phir uska qaram bolta hai uska waqt bolta hai
jisko bhi mila hai samundar ki gahraiyon se hi mila hai
laajawab moti yun kisi ko kinaro par nahi milte
ummidun ka daman thaam rahe ho hausla banaye rakhna
Q ki nakamiyan jab chubne lage to kamiyabi behad kareeb hoti hai
yun na pochu ki zindagi khushi kab deti hai
Q ki shikayat to unhein bhi hai jinhen zindagi sab kuch deti hai