har shaks parindo jaisa ham dard nahi hota dost
bohut be dard baithe hai is duniya main jaal bichane wale
zindagi main kabhi apne kisi hunar par ghamand mat karna
Q Ki patthar jab paani main girta hai to apne hi wajan se dubta hai
itni wafadari na kar kisi se yun madhosh hokar
ye duniya wale ek khata ke badle saari wafayen bhula dete hai
jisko sunna aye usko bolne ki zarurat hi nahi
Q ke phir uska qaram bolta hai uska waqt bolta hai
jisko bhi mila hai samundar ki gahraiyon se hi mila hai
laajawab moti yun kisi ko kinaro par nahi milte
ummidun ka daman thaam rahe ho hausla banaye rakhna
Q ki nakamiyan jab chubne lage to kamiyabi behad kareeb hoti hai
yun na pochu ki zindagi khushi kab deti hai
Q ki shikayat to unhein bhi hai jinhen zindagi sab kuch deti hai